बेचारे पत्रकारों की खोजी खबरे

गुरुवार, 23 अप्रैल 2009

भाई भडासी , हनारे पास कुछ खोजी ख़बर बेचारे पत्रकार बंधुओं ने भेजा है । बस , मै हुबहू पेश करने की लुमरई कर रहा हूँ..........क्षमा करेंगे .............

employees 365dintv


to poddararun
show details
Apr 18 (5 days ago)
18-04-2009




Seva mein,
Manniya Arun Poddar jee,
Chairman
==================


Aadarniya Mahoday,

365 Din TV ke hum 29 Field Reporters aapko iss patra ke maadhyam se yeh jaankaari dena chaahete hain kee kiss terah CEO Amal Jain hamaree khoon-paseene kee kamaai ko ek daaku kee terah jabran loot raha hai. Itna hee naheen, CEO ne hum sabhee field reporters dwaara election mein channel ke liye book kiye laakhon ke ad ke paise channel ke account nein na daal kar apni jeb mein daal raha hai aur iss terah aaj tak (18-04-09 tak) 64 laakh khaa chuka hai.Kisse kitne paise aaye, ek-ek paise kaa hissab hum aapko de sakte hain.

Kuch uddaharan iss terah hain:Kuch uddaharan iss terah hain:

** Manpreet Singh ne Jamshedpur nein Arvind Singh se % Lakh kee deal final kee. Jiske baad CEO kaa phone aa gaya kee aap deal se door rahiye . Aasheesh Jain (CEO kaa brother-in-law) unse baat kar lega. Iske baad account mein sirf 50,000 aaye aur baaki rakam no.2 mein ley lee gayee. Isee terah Suman Mehto (Dumka) se 6 lakh ley liye gaye. Manpreet ko 20% commission kee jagah gaaliyan dee gayen.

** Reetesh sarrak ne CEO kee taraf se Madhu Kaura ( Saraikela) se 15 lakh le liye. Account mein kitna daala yeh to company jaane. Jis field reporter ne deal kee thee use commission dene ke bajai naukri se nikaal dene kee dhamki dee gaye.

** Dhanbaad ke Reporter Rajkishore Sinha ne Veerendra Pradhan, Samresh Singh aur teen anya candidates se kul 11 lakh kee deal final kar dee. jiske baad CEO kaa phone aa gaya ke aapko baat karne kee jaroorat naheen hai, Aasheesh Jain Dhanbaad ke liye ravana ho chuka hai. Aasheesh ne ye saare rupaye batoor liye aur jab Rajkishore ne 20% commission manga to use naukri se nikaalne kee dhamki de kar chup kara diya gaya.

** Hazaribagh mein Saurabh Narayan Singh, Bhuvaneshver va do anya candidates se kul mila kar 10 lakh liye gaye. Magar unhe account mein naheen dala gaya.


** Aaisi hee harkat CEO ne hum sabhee 29 field reporters ke saath kee aur jab hum logon ne apna commission manga to CEO ne 365 Din Channel per hee Ticker chala kar hamare hee zilon mein reporters kee vacancy kaa vigyapan chalana shuru kar diya. Jo ki hum sabhee field reporters ko blackmail karna hai. Taaki hum apnee naukri jaane ke dar se chup reh jaayen. Lekin hum sabhee log aise gire hue gheinit insaan ke saath kaam karne kee bajai bhookhe marna jyada pasand karenge.

** Vaise bhee (chunav ke pehle) ye CEO shuru se Field Reporters kee salary ke naam par H.O. se laakhon rupaye har maheene leta raha hai. Magar hum logon ko 2-3 maheene per kabhee 500/- to kabhee 800/- rupayee bhejta raha hai. Baaki rupayee doosre madon mein divert kar har maheene khaa jata raha hai.

** Iss chunav mein jitna bhee revenue dikhaya gaya hai, asliyat mein uska 20 guna aaya hai aur saara paisa CEO kee jeb mein chala gaya hai. Ek rupaya bhee Aasheesh Jain naheen laya hai. Jabkee saara revenue usee ke zariye bataya ja raha hai. Saari deal field reporters ne tai karai magar commission milne kee bajai unhen naukri se nikala jaa raha hai.

** Agar aap/H.O. sabhee field reporters se khud phone per baat karen to aap ko saari asliyat aur dakaar lee gayee rakam kaa pata lag jayega.

** Theek yehee kaam CEO ne hamare News Head Lokesh jee ke saath kiya . Jab voh channel ke liye 50 lakh kaa revenue line-up kar chuke the to unhe shabaashi dene ke bajai unhe kaam karne se hee roak diya gaya.

** Lokesh jee ne Jharkhand Govt. ke Tourism dept. se 40 lakh kaa ad line-up karwa diya tha. Lekin baad mein Reetesh aur Aasheesh kee ulti-seedhi dealing ke chalte maamla nigrani vibhag ko chala gaya aur ab jaanch ho rahee hai kee bina anya channels se quotation/tender maange ek aise channel ko sarkaari ad kaun de aur le raha tha jise D A V P approval bhee naheen mila hai. Is terah saare sarkari ad ke raaste CEO kee bevkoofi kee vejeh se band ho chuke hain.


** Ek taraf CEO 64 laakh dakaar chuka hai vaheen doosri taraf HTMPL kee ye haalat hai kee 5/7/10 hazar jaise maamooli rakam ke cheques bounce ho rahe hain aur Poddar Group kee market mein baree beizzati ho rahee hai.

** Live telecast ke naam per CEO khud har zile mein ghoom-ghoom kar apnee shakal TV per chamka rahe hain. Khud to voh A.C. room mein mauj karten hain jabkee live telecast team ke members ko karee garmee aur dhoop mein paani tak naseeb naheen hota hai. Unhe aisi dharamshala mein tehraya jaata hai jahan pankha tak naheen hota aur bharee garmi aur machcharon ke chalte vo so tak naheen paate.

** Aaj bhee 365 Din poore Bihar mein ( Gaya ,patna,muzaffarpur ke bahut thore hisse mein , veh bhee bahut unche number per) aur Jharkhand ke 10 zilon mein bilkul naheen dikhai deta hai. Agar aap khud distribution deptt. se cable operators kee list va phone number manga lein to saara bhed khul jayega.

** Aapse hum logon kee yehee guzarish hai kee Ranchi h.q. mein kaam karne vaale ek-ek aadmi aur ek-ek field reporter se alag-alag milein to aapko pata chal jayega kee kitne gire hua aur kitne gande aadmi ko aaone CEO banaya hua hai. Aage aapki marzi. Channel to bhagwan bharose hai hee aapka aur Poddar Group kaa naam to pehle hee doob chuka hai. Kab kya ho jaye kaha naheen jaa sakta. Is CEO kee dhokhadhari ke shikaar sabhee log man bana rahen hain kee Ranchi aur Kolkata mein isee hafte Press Confrence karke Amal Jain kee saari jaalsajion ko ujaagar karke unhen police ko saunp den.

** Vaise hum aapko suchit kar den kee jabse Amal ko ye pata chala hai kee uska demotion karke use hirf News Incharge banaya jaa raha hai, usne tabartoor loot-khasoot shuru akr dee hai aur uska lakshya 1 karore ikkatha kar ke parivaar sahit via Nepal videsh bhaag jaana hai.

** Hamein maloom hai kee aap us din ko apnee kismat kaa sabse durbhagyashali din maante hain jis din aapkee Amal se mulakat hui thee. Lekin hum sabhee Bhagwan se yahee dua karten hain zaldee hee aapko aur 365 Din ko iss mahapaapi se chutkaara mil jaye. Vo din ek-aadh hafte mein hee aane wala hai kyonkee Jail mein band vyakti CEO kee zimmedaari naheen sambhaal sakta.


HUM SUB 365 DIN KE 29 FIELD REPORTERS


============================================================

21-03-2009


YE KAISA CEO !!!


1- JO VYAKTI EK MAAMOOLI MAGAZINE TAK NAHEEN CHALA PAAYA AUR VOH BAND HO GAYEE, AAISE VYAKTI KO SATELLITE TV CHANNEL CHALANE KO DE DIYA ! HEY BHAGWAN !!

2- JIS CEO NE 150 LOG APPOINT KIYE. UNMEIN SE 145 KO NAKARA GHOSHIT KAR NIKAAL DIYA. BAAKI BACHE 5 LOG USKE PARIVAR KE HAIN. YAANI USKE SELECTION KEE SAFALTA KAA PRATISHAT 0% HAI. JO AADMI TEAM SELECT TAK NAHEEN KAR SAKTA YOH CHANNEL KYA CHALAYEGA?

3-JO AADMI EK AUR KEE MILIBHAGAT SE EQUIPMENTS KEE KHAREED MEIN 35 LAKH COMMISSION KHA GAYA. KRIPYA SABHEE PURCHASE KE RATES DEKHEN AUR APNE STAR SE UNKA MARKET RATE PATA KAREN.

4- CABLE OPERATORS KO BAANTNT KE LIYE KHARIDE GAYE SIGNAL BOXES KEE KEEMAT 2100/- PER PEACE SE UPAR PARI HAI.VOH BHEE KHARAB QUALITY KEE. JABKEE ISSE ACCHE QUALITY KE BOX 490/- MEIN KHULE AAM MIL RAHEN HAIN.

5-RANCHI MEIN STUDIO AUR OFFICE KE CONSTRUCTION MEIN LAKHON RUPAYE KHA GAYA. NATEEJA- PICHLE SAAL 5 BAAR EDIT-BAY AUR BARAMDE KEE CHAT GIR GAYEE THEE AUR KAI LOGON KEE JAAN AUR MAHANGE EQUIPMENTS BACH GAYE. MAGAR ISS SAAL BARSAAT KAA SEEJAN NIKAL PAANA MUSHKIL HAI. POORI BUILDING KEE CHAT GIR SAKTI HAI . LOGON KEE JAAN TO KHATRE MEIN HAI HEE, CRORES KE EQUIPMENTS BARBAAD HO SAKTEN HAIN.

6- ISS CEO KAA BARTAAV EK RICKSHAW CHALANE WAALE SE BHEE BADTAR HAI. OFFICE MEIN GANDI-GANDI GAALIAN DENA, LOGON SE GAALI-GALAUG KARNA, BAAT-BAAT PER JAAN SE MARWA DENE KEE DHAMKEE DENA USKA ROJMARRA KA KAAM HAI. AGAR YE CEO NA HO KAR EK RICKSHAW WALA HOTA TO ISKE BARTAAV KE CHALTE ISSE EK BHEE SAVARI NAHEEN MILTI.


7- KHUD YE CEO AUR USKE PARIVAAR KE 5-6 LOG AUR 4-5 DOST MIL KAR SALARY, CANTEEN, MAKE-UP AUR FARZI VOUCHERS KE ZARIYE HAR MAHEENE 5 LAKH LOOT RAHE HAIN. OFFICE KE LAKHON KE RESOURCES KAA MISUSE ALAG SE KAR RAHEIN HAIN. HAR EXPENDITURE MEIN 20% KAA STANDARD COMMISSION ALAG SE TAYE HAI.

8- DOOSRI TARAF SAIKRON LOGON KEE ACCHI-KHASI NAUKRIYAN CHURA KAR UNHE RANCHI BULA KAR 2/3 MAHEENE MEIN NIKAAL DENA ISS CEO KAA SHAUK HAI. YE LOG APNE PARIVAR AUR SAAMAN KE SAATH RANCHI SHIFT HO GAYE AUR ISS CEO NE INKE SAATH BARA HEE AMANVIYA VYAHAVAAR KIYA. YAHAN TAK KEE INHE NIKAAL KAR UNKEE SALARY TAK NAHEEN DEE AUR AISE DARZANON LOG AAJ BHEE RANCHI MEIN HEE PARE HAIN . KYAA CEO KE SAATH PODDAR GROUP BHEE ISS GHINAUNE PAAP MEIN SHAMIL HONA CHAHTA HAI ?

9- YE CEO 20-03-09 SE GAMBHEER ROOP SE BEEMAR HAI. USE DIL SERIOUS HEART PROBLEM, BEKAABU DIABITIS, B.P., KIDNEY PROBLEM, HYPERTENSION, RESTLESSNESS KEE SHIKAYAT DOCTORS NE BATAIYEE HAI. JIS KAARAN VIGAT 3 DINON SE CEO DIN MEIN MAATRA 2/3 BAAR AADHE GHANTE KE LIYE HEE AA PAATE HAIN. MAGAR HARARAT KE KARAN TURANT WAAPAS JAANA PARTA HAI. DOCTORS NE UNHE 3 MONTHS COMPLETE BED REST KEE SALAH DEE HAI. MAGAR YE FACT UNHOANE H.O. SE CHUPAYA. KYONKI UNHEN DAR HAI KE KOI AUR NA UAHAN BHEJ DIYA JAYEAURUNKA SAARA AGLA-PICHLA BHED NA KHUL JAAYE. CHANNEL ISS SAMAY BHAGWAN BHAROSE HAI. HAZARON GALTIYAN HAR ROAJ JAA RAHEE HAIN. APNE NEWS HEAD KO VOH PEHLE HE KAAM KARNE SE ROAK CHUKE HAIN.

10- JAB 20 TAREEKH KO CEO KEE TABIYAT BIGRI TO UNKO TO OFFICE CAR, STAFF AUR RUPAYE-PAISE KEE MADAD MIL GAYEE. MAGAR KYA CEO AUR UNKE PARIVAR NE KABHEE YE SOCHA HAI KEE JIN SAIKRON LOGON KO UNHOANE BINA KAARAN NIKAAL DIYA AUR UNKEE SALARY BHEE MAAR LEE, UNKE PARIVARON MEIN BEEMARON KAA ILLAZ KAISE HO RAHA HOGA, UNKE GHARON MEIN CHULHA KAISE JAL RAHA HOGA ? AISE MAHAPAAPI AUR GIRE HUE INSAAN KO H.O. SAJA NAHEEN DEGA TO BHAGWAAN ZAROOR DEGA. AISI IN SAIKRON PARIVARON KE KAAMNA HAI.


11- VIGAT 13 MARCH KO JAB CALCUTTA SE V.P. AUR DIRECTORS AAYE THE TO YE CEO SABKE SAAMNE - H.O. AUR APNE HEE STAFF KE SAAMNE POORI TERAH EXPOSE HO GAYA. SABHEE NE USKE MUNH PER HEE EK-EK BAAT KAHEE AUR USKE PAAS KOI JAWAB NAHEEN THA. AGAR IS CEO MEIN JARA SI BHEE SHARM HOTI TO VO USEE SAMAY RESIGN KARKE CHALA JAATA AUR KABHEE KISI KO APNA MUNH DIKHANE KEE HIMMAT NAHEEN KARTA. MAGAR YE TO VAKAYEE BAHUT JYADA BESHARM HAI AUR JAB TAK LOG ISSE DHAKEL KAR GATE KE BAHAR NAHEEN KARANGE, YE YAHAN SE JAANE VAALA NAHEEN HAI.

12- JHARKHAND POLICE ISSKE KHILAAF SAARE CRIMINAL CASES IKKATHA KARNE MEIN JUTI HAI. IN CASES MEIN RAPE, CHEATING , FORGERY, MAARPEET, GUNDAGARDI VAIGARAH SHAMIL HAIN.

13- 365 DIN KA RANCHI MUKHYALAYA EK REHAAISHI MAKAAN MEIN KHOL DIYA GAYA HAI. USS PER SE YEH MAKAAN GREEN BELT MEIN PARTA HAI. R.R.D.A. PEHLE HI CHAAPA MAAR KAR STUDIO AUR OFFICE VAHAN SE HATANE KEE CHETAWANI DE CHUKA HAI. VAISE BHEE SUPREME COURT GREEN BELT KE MAALON MEIN BARE SAKTH AADESH DE CHUKA HAI.

14- JSEB KE KUCH BHRASHT AFSARON KEE MILIBHAGAT SE IS REHAISHI MAKAAN MEIN MEIN 40 KVA KA PRIVATE TRANSFORMER AUR THREE PHASE CONNECTION INSTALL KAR DIYA GAYA HAI.JO GAIRKAANOONI HAI AUR JSEB REHAISHI MAKAAN MEIN COMMERCIAL CONNECTION TAK NAHEEN DE SAKTA HAI. YADI KOI COMPLAINT KAR DE TO NA SIRF BIJLI KAT JAAYEGI BALKI CONNECTION/ TRANSFORMER LENE AUR DENE WAALE JAIL CHALE JAYENGE.

15- RRDA SE BINA NAKSHA PAAS KARAYE OFFICE AUR STUDIO KE LIYE BAHUT SE CONSTRCTION KAR LIYE GAYE HAIN. JABKI MAKAAN RIHAISHI THA. KABHI BHI RRDA KE BULDOZERS YAHAAN DEMOLITION DRIVE CHALA SAKTEN HAIN. LEGAL CASE ALAG SE BANEGA.

16- NA JAANE KYON KAAFI MAHANGE MONTHLY RENT/LEASE PER YEH RIHAISHI MAAKAN LIYA GAYA. JABKI THORI HEE DOORI PER KOKAR INDUSTRIAL ESTATE MEIN BAHUT SE COMMERCIAL/INDUSTRIAL BUILDINGS KHAALI THE AUR AAJ BHI HAIN. JO MAATRA 20,000 MAHEENE PER 33 SAAL KEE LEASE PER LIYE JAA SAKTE THE.


17- OFFICE/STUDIO CAMPUS MEIN 2 HIGH RISE TOWERS LAGAYE GAYE HAIN. KAI AUTHORITIES SE ISKEE CLEARENCE ( NOC ) LENI PERTI HAI. MAGAR INHEIN AWAIDH ROOP SE LAGA DIYA GAYA. GREEN BELT PER ITNE UNCHE TOWER LAGANA BAHUT HEE GAMBHEER MAAMLA HAI AUR YADI KOI COMPLAINT KAR DEY TO POORA OFFICE/STUDIO DEMOLISH HO SAKTA HAI.

18- 365 DIN DWARA UP-LINKING & DOWNLINKING GUIDELINES KAA 4 TARAH SE KHULA ULLANGHAN HO RAHA HAI. JINMEIN SE 2 NON-BAILABLE OFFENCE HAIN.

19- OFFICE/ STUDIO SE LE KAR TATA OFFICE TAK BIZLEE KE KHAMBON KE UPER KAI KILOMETER TAK OPTICAL FIBER LINE / CABLE GAI HUI HAI JO KAAFI KHATARNAAK HAI AUR YADI KOI FIR LIKHWA DE TO NA SIRF CABLE HATWA DEE JAYEGI BALKI GIRAFTAARI BHEE PAKKI HAI. YEH INDIAN CABLE/BROADCASTING ACT KA BHEE ULLANGHAN HAI. JSEB KE BHRASHT AFSAR BHEE ISMEIN JAIL CHALE JAAYANGE.

20- JHARKHAND KE 2 SITTING LOKSABHA SADAYSON NE 365 DIN KE CEO KE BROTHER-IN-LAW KEE BAATCHIT KAA STING KAR LIYA HAI . IS BAATCHEET MEIN VOH UNHEN 15 LAKH AUR 25 LAKH RUPAYE DENE KE BADLE ELECTION MEIN MANCHAHI COVERAGE DENE KAA PROPOSAL DEY RAHA HAI. YE LOG 2-3 DIN MEIN HEE ELECTION COMMISSION OF INDIA KO LIKHIT COMPLAINT DENE DILLI JAA RAHE HAIN . PAISA LE KAR CHUNAVI KHABARON KO PRAVHIT KARNA BHARI ZURM HAI AUR ISSE CHANNEL KAA LICENCE TO CANCIL HOGA HEE, JAIL BHEE PAKKI HAI.

21- RANCHI MEIN 365 DIN KAA DAFTAR KAREEB 2 VARSHON SE CHAL RAHA HAI. 50 SE JYAADA KARAMCHARI SHURU SE HEE HAIN. MAGAR AAJ TAK P.F. , E.S.I. LAAGU NA KARNA NON-BAILABLE OFFENCE HAI.

22- CEO A K JAIN KE KHILAFF 7 GAMBHEER MAAMLE CHAL RAHEN HAIN. JINMEIN RAPE, CHEATING, CHORI, MAARPEET, GUNDAGARDI TAK SHAMIL HAIN. MAGAR CHANEL KEE LICENCING PROCESS KE DAURAN UNHOANE EK FORM MEIN YE JHOOTI JANKARI DEE HAI KEE UNKE KHILAFF KOI CRIMINAL MAALA HI NAHEEN HAI. YADI M.I.B. KO PATA CHAL JAYE TO LICENCE TURANT RADD HO JAYEGA.

23- CHANNEL NE BARE PAIMANE PER LABOUR LAWS KAA ULLANGHAN KIYA HAI. ABHEE TAK 102 LOG BINA KARAN NIKALE JAA CHUKE HAIN. INHE NA TO SHOW CAUSE NOTICE DIYA GAYA, NA SAFAI DENE KAA MAUKA DIYA , BAHUTON KO TO MAUKHIK TAUR PER BHAGA DIYA YAA GUARD NE OFFICE MEIN GHUSNE SE ROAK DIYA. YEE DARASAL LABOUR LAWS NAHEEN BALHI PRINCIPAL LAWS OF NATURAL JUSTICE KAA KHULA ULLANGHAN HAI.


24- NEWS SCRIPTS/ PACKAGES/ RUN-DOWNS/ BULLETINS/ TICKER/ FLASH GOING ON AIR WITH HUNDREDS OF MISTAKES. THE PERSONS ( SAMEER RANJAN AND ALOK RANJAN )DEPUTED FOR APPROVING SCRIPTS/BULLETIN RUN-DOWNS THEMSELVES CAN'T WRITE FAULTLESS HINDI AND DOZENS OF MISTAKES REMAIN IN SCRIPTS EVEN AFTER THEIR CHECKING/APPROVAL.ON THE OTHER PERSONS CAPABLE OF DOING THIS TASK HAVE BEEN EITHER TERMINATED/ SUSPENDED OR ENGAGED IN CLERICAL TYPE TASKS.

25-ALL MAJOR NEWS/ DAILY EVENTS ARE MISSING FROM OUR BULLETINS. WE ARE TELECASTING NEWS OLDER THAN 6-7 DAYS.

26- CHANNEL IS MISSING ALL MAJOR NEWS/EVENTS FROM RANCHI AS ALL CAPABLE CITY REPORTERS HAVE BEEN TERMINATED/ SUSPENDED/RESIGNED. SOME OF THEM ARE GIVEN CLERICAL TYPE OF WORK.

27-MEDIA DIRECTORY OF OFFICIAL DIARY OF JHARKHAND GOVT. AND OTHER DIARIES ( SUCH AS JAGRAN YATRA ETC. ) DOES NOT CONTAIN NAMES OF OUR CITY REPORTERS. INSTEAD OF THIS YOU ( AMAL K. JAIN ) HAVE BEEN SHOWN AS NEWS EDITOR AND AASHEESH JAIN ( YOUR BROTHER IN-LAW ) AS REPORTER. WHO IS NOT EVEN A STRINGER. ALL CITY REPORTERS ARE /WERE FEELING INSULTED BECAUSE OF THIS AND THIS HAS BEEN DONE ON THE BASIS OF A LETTER ISSUED BY YOU BEARING YOUR SIGNATURE.

28-ALL COMPETENT CITY REPORTERS HAVE LEFT ORGANISATION BECAUSE OF HUMILIATION AND JOINED OTHER ORGANISATIONS.

29- BLACKMAILING STORIES ARE BEING TELECAST ON THE NAME OF INVESTIGATIVE JOURNALISM WITHOUT FULFILLING STANDARD JOURNALISTIC ETHICS. THERE ARE RUMOURS THAT SOME PEOPLE ARE COLLECTING /ALREADY COLLECTED MORE THAN 65 LACS . ON THE OTHER HAND OUR CHANNEL IS BEARING HEAVY FINANCIAL LOSS.

30- ALL THE GOOD/ COMPETENT NEWS ANCHORS HAVE BEEN TERMINATED WITHOUT ANY VALID REASON. SOME ANCHORS ARE BEING VICTIMIZED/HUMILIATED. THERE ONLY FAULT IS THAT THEIR PERFORMANCE IS BETTER THAN CEO'S DAUGHTER AND BROTHER- IN- LAW WHO ARE PRACTISING ANCHORING DURING LIVE TELECAST.


31-ALL GOOD /CAPABLE PERSONS WORKING IN EDITORIAL/NEWS SECTION EITHER HAVE BEEN TERMINATED/INSULTED WITHOUT ANY VALID REASONS OR DEPUTED IN
CLERICAL TYPE OF JOBS.

32- ALL DEPARTMENT/SECTION HEAD POSITIONS HAVE BEEN OCCUPIED EITHER BY FAMILY MEMBERS OR PERSONS CLOSE TO THEIR FAMILY, SUCH AS- AASHEESH JAIN, PANKAJ JAIN, RITU JAIN, AASTHA JAIN, TOOLIKA JAIN, AKHIL JAIN, REETESH SARRAK, SAMEER RANJAN, ALOK RANJAN, NEETESH RANJAN ETC. ENTIRE STAFF IS DEMORALIZED BECAUSE OF THIS SITUATION.

33- TRAINEES/ INTERNS HAVE BEEN GIVEN IMPORTANT TASKS SUCH AS PRODUCING BULLETINS AND COMPETENT/EXPERIENCED PERSONS ARE BEING HUMILIATED AND FORCED TO RESIGN. IF THE DON'T RESIGN THEY ARE BEING TERMINATED WITHOUT ANY REASON.

34- FTP AND LEASE LINES ARE NOT WORKING AND CHANNEL IS PAYING HEAVY COST FOR ITS FAILURE. DOUBLE LINES HAVE BEEN INSTALLED SO THAT AUTO-SWITCHING FACILITY BE AVAILED. BUT STRANGE FACT IS THAT BOTH THE LINES ARE BASED ON SAME BASE LINE.EVERY DAY OUR CHANNEL IS OFF AIR FOR HOURS OF TIME.

KYAA PODDAR GROUP BHEE ISS MAHA PAAP KAA BHAGIDAAR BANNA CHAHTA HAI ?

5 टिप्पणियाँ:

डॉ.रूपेश श्रीवास्तव(Dr.Rupesh Shrivastava) ने कहा…

चोंथो चोंथो चौथा खंभा...
बस इतना ही कहते बनता है, दूध से नहाने वाले पत्रकार और घी पीने वाले लालाजी और बीच में मक्खन चाटते एम.डी. व सी.ई.ओ.
काफ़ी दिनों बाद लुमरई करने का मन करा क्या बात है भाई?
जय जय भड़ास

lumarshahabadi ने कहा…

kya kare dr. sab,aazkal media par bhar jyada badh gaya hai.bas election khatm ho fir regular lumarai hogi

बेनामी ने कहा…

Sorry for my bad english. Thank you so much for your good post. Your post helped me in my college assignment, If you can provide me more details please email me.

बेनामी ने कहा…

I'm glad that you said that post??

Bhagban ने कहा…

Bhai !
Aap log patrakar ho ya chamar ? patrakar logon ko lootte suna, kahi lootjane ka nehin. Jo log Khood ko lutte batye hain unhe hum patrakar nehin kahasakte. Am nagrik honge, aur patrakarita ka Jhunk aplogon ko Jain ki Vatti men jhonk diya hoga. Ab bhool jao is kissa samhalo khudko patrakarita se kinara karlo, sadgi se jindgi jeo apko mera ashirbad.
BHAGBAN

प्रकाशित सभी सामग्री के विषय में किसी भी कार्यवाही हेतु संचालक का सीधा उत्तरदायित्त्व नही है अपितु लेखक उत्तरदायी है। आलेख की विषयवस्तु से संचालक की सहमति/सम्मति अनिवार्य नहीं है। कोई भी अश्लील, अनैतिक, असामाजिक,राष्ट्रविरोधी तथा असंवैधानिक सामग्री यदि प्रकाशित करी जाती है तो वह प्रकाशन के 24 घंटे के भीतर हटा दी जाएगी व लेखक सदस्यता समाप्त कर दी जाएगी। यदि आगंतुक कोई आपत्तिजनक सामग्री पाते हैं तो तत्काल संचालक को सूचित करें - rajneesh.newmedia@gmail.com अथवा आप हमें ऊपर दिए गये ब्लॉग के पते bharhaas.bhadas@blogger.com पर भी ई-मेल कर सकते हैं।
eXTReMe Tracker

  © भड़ास भड़ासीजन के द्वारा जय जय भड़ास२००८

Back to TOP